Bashir Badr

pichhli raat ki narm chandni shabnam ki KHunki se racha hai

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
pichhlī raat kī narm chāñdnī shabnam kī ḳhunkī se rachā hai
yuuñ kahne ko us kā tabassum barq-sifat hai sho.ala-numā hai
vaqt ko māh-o-sāl kī zanjīroñ meñ jakaḌ kar kyā paayā hai
vaqt to māh-o-sāl kī zanjīroñ meñ aur bhī tez baḌhā hai
ik ma.asūm se pyaar kā tohfa ghar ke āñgan meñ paayā thā
us ko ġham ke pāgal-pan meñ koThe koThe baañT diyā hai
aañsū taare rañg gulāb sabhī pardes chale jaate haiñ
āḳhir āḳhir tanhā.ī hai kis ne kis kā saath diyā hai
nazm ġhazal afsāna giit ik tarah hī ġham thā jis ko ham ne
kaisā kaisā naam diyā hai kaise kaise baañT liyā hai
aahoñ ke bādal kyuuñ dil meñ bin barse hī lauT ga.e haiñ
ab ke baras sāvan kā mahīna kaisā pyāsā pyāsā gayā hai
phuul sī har tasvīr meñ zehn kī dīvāroñ se utaar chukā huuñ
phir bhī dil meñ kāñTā sā kyuuñ rah rah kar chubhtā rahtā hai
majbūrī thī sabr kiyā hai paañv ko toḌ ke baiTh rahe haiñ
nagrī nagrī dekh chuke haiñ dvāre dvāre jhāñk liyā hai
mujh ko un sachchī bātoñ se apne jhuuT bahut pyāre haiñ
jin sachchī bātoñ se aksar insānoñ kā ḳhuun bahā hai
'badr' tumhārī fikr-e-suḳhan par ik allāma hañs kar bole
vo laḌkā nau-umr parinda ūñchā uḌnā siikh rahā hai
Top Urdushayar.com