azmateñ sab tirī ḳhudā.ī kī
haisiyat kyā mirī ikaa.ī kī
mire hoñToñ ke phuul suukh ga.e
tum ne kyā mujh se bevafā.ī kī
sab mire haath paañv lafzoñ ke
aur āñkheñ bhī raushnā.ī kī
maiñ hī mulzim huuñ maiñ hī munsif huuñ
koī sūrat nahīñ rihā.ī kī
ik baras zindagī kā biit gayā
tah jamī ek aur kaa.ī kī
ab taraste raho ġhazal ke liye
tum ne lafzoñ se bevafā.ī kī