bhīgī huī āñkhoñ kā ye manzar na milegā
ghar chhoḌ ke mat jaao kahīñ ghar na milegā
phir yaad bahut aa.egī zulfoñ kī ghanī shaam
jab dhuup meñ saaya koī sar par na milegā
aañsū ko kabhī os kā qatra na samajhnā
aisā tumheñ chāhat kā samundar na milegā
is ḳhvāb ke māhaul meñ be-ḳhvāb haiñ āñkheñ
jab niiñd bahut aa.egī bistar na milegā
ye soch lo ab āḳhirī saaya hai mohabbat
is dar se uThoge to koī dar na milegā