Bashir Badr

ek pari ke sath maujon par Tahalta raat ko

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935

ik parī ke saath maujoñ par Tahaltā raat ko

ab bhī ye qudrat kahāñ hai aadmī zaat ko

jin saarā jism hotā hai hamārī tarah

phuul kuchh aise bhī khilte haiñ hamesha raat ko

ek ik kar ke sabhī kapḌe badan se gir chuke

sub.h phir ham ye kafan pahnā.eñge jazbāt ko

pīchhe pīchhe raat thī tāroñ ik lashkar liye

rail paTrī pe sūraj chal rahā thā raat ko

aab o ḳhaak o baad meñ bhī lahar vo aa jaa.e hai

surḳh kar detī hai dam bhar meñ jo piilī dhaat ko

sub.h bistar band hai jis meñ lipaT jaate haiñ ham

ik safar ke ba.ad phir khulte haiñ aadhī raat ko

sar pe sūraj ke hamāre pyaar saaya rahe

māmtā jism māñge zindagī baat ko

Top Urdushayar.com