vahī taaj hai vahī taḳht hai vahī zahr hai vahī jaam hai
ye vahī ḳhudā kī zamīn hai ye vahī butoñ kā nizām hai
baḌe shauq se mirā ghar jalā koī aañch tujh pe na aa.egī
ye zabāñ kisī ne ḳharīd lī ye qalam kisī kā ġhulām hai
yahāñ ek bachche ke ḳhuun se jo likhā huā hai use paḌheñ
tirā kīrtan abhī paap hai abhī merā sajda harām hai
maiñ ye māntā huuñ mire diye tirī āñdhiyoñ ne bujhā diye
magar ek jugnū havāoñ meñ abhī raushnī kā imaam hai
mire fikr-o-fan tirī anjuman na uruuj thā na zavāl hai
mire lab pe terā hī naam thā mire lab pe terā hī naam hai