Bashir Badr

ghazlon ka hunar apni aankhon ko sikhaenge

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
ġhazloñ kā hunar apnī āñkhoñ ko sikhā.eñge
ro.eñge bahut lekin aañsū nahīñ ā.eñge
kah denā samundar se ham os ke motī haiñ
dariyā kī tarah tujh se milne nahīñ ā.eñge
vo dhuup ke chhappar hoñ yā chhāñv kī dīvāreñ
ab jo bhī uThā.eñge mil jul ke uThā.eñge
jab saath na de koī āvāz hameñ denā
ham phuul sahī lekin patthar bhī uThā.eñge
Top Urdushayar.com