Bashir Badr

koi phul dhup ki pattiyon mein hare ribbon se bandha hua

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
koī phuul dhuup kī pattiyoñ meñ hare ribbon se bañdhā huā
vo ġhazal kā lahja nayā nayā na kahā huā na sunā huā
jise le ga.ī hai abhī havā vo varaq thā dil kī kitāb kā
kahīñ āñsuoñ se miTā huā kahīñ āñsuoñ se likhā huā
ka.ī miil ret ko kaaT kar koī mauj phuul khilā ga.ī
koī peḌ pyaas se mar rahā hai nadī ke paas khaḌā huā
vahī ḳhat ki jis pe jagah jagah do mahakte hoñToñ ke chāñd the
kisī bhūle-bisre se taaq par tah-e-gard hogā dabā huā
mujhe hādsoñ ne sajā sajā ke bahut hasīn banā diyā
mirā dil bhī jaise dulhan kā haath ho mehñdiyoñ se rachā huā
vahī shahr hai vahī rāste vahī ghar hai aur vahī lawn bhī
magar is darīche se pūchhnā vo daraḳht anaar kā kyā huā
mire saath jugnū hai ham-safar magar is sharar kī bisāt kyā
ye charāġh koī charāġh hai na jalā huā na bujhā huā
Top Urdushayar.com