Bashir Badr

subh ka jharna hamesha hansne wali aurten

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
sub.h kā jharnā hamesha hañsne vaalī aurteñ
jhuTpuTe kī naddiyāñ ḳhāmosh gahrī aurteñ
mo.atadil kar detī haiñ ye sard mausam kā mizāj
barf ke Tīloñ pe chaḌhtī dhuup jaisī aurteñ
sabz nāranjī sunahrī khaTTī mīThī laḌkiyāñ
bhārī jismoñ vaalī Tapke aam jaisī aurteñ
saḌkoñ bāzāroñ makānoñ daftaroñ meñ raat din
laal niilī sabz niilī jaltī bujhtī aurteñ
shahr meñ ik baaġh hai aur baaġh meñ tālāb hai
tairtī haiñ is meñ sātoñ rañg vaalī aurteñ
saikḌoñ aisī dukāneñ haiñ jahāñ mil jā.eñgī
dhaat kī patthar kī shīshe kī rabaḌ kī aurteñ
munjamid haiñ barf meñ kuchh aag ke paikar abhī
maqbaroñ kī chādareñ haiñ phuul jaisī aurteñ
un ke andar pak rahā hai vaqt kā ātish-fishāñ
jin pahāḌoñ ko Dhake haiñ barf jaisī aurteñ
āñsuoñ kī tarah taare gir rahe haiñ arsh se
ro rahī haiñ āsmānoñ kī akelī aurteñ
ġhaur se sūraj nikalte vaqt dekho āsmāñ
chūmtī haiñ kis kā māthā ujlī lambī aurteñ
sabz sone ke pahāḌoñ par qatār-andar-qatār
sar se sar joḌe khaḌī haiñ lambī sīdhī aurteñ
vāqa.ī donoñ bahut mazlūm haiñ naqqād aur
maañ kahe jaane kī hasrat meñ sulagtī aurteñ
Top Urdushayar.com