Bashir Badr

KHandani rishton mein aksar raqabat hai bahut

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
ḳhāndānī rishtoñ meñ aksar raqābat hai bahut
ghar se niklo to ye duniyā ḳhūbsūrat hai bahut
apne college meñ bahut maġhrūr jo mash.hūr hai
dil mirā kahtā hai us laḌkī meñ chāhat hai bahut
un ke chehre chāñd tāroñ kī tarah raushan rahe
jin ġharīboñ ke yahāñ husn-e-qanā.at hai bahut
ham se ho saktī nahīñ duniyā kī duniyā-dāriyāñ
ishq kī dīvār ke saa.e meñ rāhat hai bahut
dhuup kī chādar mire sūraj se kahnā bhej de
ġhurbatoñ kā daur hai jāḌoñ kī shiddat hai bahut
in añdheroñ meñ jahāñ sahmī huī thī ye zamīñ
raat se tanhā laḌā jugnū meñ himmat hai bahut
Top Urdushayar.com