be-tahāshā sī lā-ubālī hañsī
chhin ga.ī ham se vo jiyālī hañsī
lab khule jism muskurāne lagā
phuul kā khilnā thā ki Daalī hañsī
muskurā.ī ḳhudā kī mahviyyat
yā hamārī hī be-ḳhayālī hañsī
kaun be-dard chhīn letā hai
mere phūloñ kī bholī-bhālī hañsī
vo nahīñ thā vahāñ to kaun thā phir
sabz pattoñ meñ kaise laalī hañsī
dhuup meñ khet gungunāne lage
jab koī gaañv kī jiyālī hañsī
hañs paḌī shaam kī udaas fazā
is tarah chaa.e kī pyālī hañsī
maiñ kahīñ jā.ūñ hai ta.āqub meñ
us kī vo jaan lene vaalī hañsī