hañsī ma.asūm sī bachchoñ kī copy meñ ibārat sī
hiran kī piiTh par baiThe parinde kī sharārat sī
vo jaise sardiyoñ meñ garm kapḌe de faqīroñ ko
laboñ pe muskurāhaT thī magar kaisī hiqārat sī
udāsī pat-jhaḌoñ kī shaam oḌhe rāsta taktī
pahāḌī par hazāroñ saal kī koī imārat sī
sajā.e bāzuoñ par baazū vo maidāñ meñ tanhā thā
chamaktī thī ye bastī dhuup meñ tārāj o ġhārat sī
merī āñkhoñ mere hoñToñ pe ye kaisī tamāzat hai
kabūtar ke paroñ kī reshmī ujlī harārat sī
khilā de phuul mere baaġh meñ paiġhambaroñ jaisā
raqam ho jis kī peshānī pe ik aayat bashārat sī