kaun aayā rāste ā.īna-ḳhāne ho ga.e
raat raushan ho ga.ī din bhī suhāne ho ga.e
kyuuñ havelī ke ujaḌne kā mujhe afsos ho
saikḌoñ be-ghar parindoñ ke Thikāne ho ga.e
jaao un kamroñ ke ā.īne uThā kar pheñk do
be-adab ye kah rahe haiñ ham purāne ho ga.e
ye bhī mumkin hai ki maiñ ne us ko pahchānā na ho
ab use dekhe hue kitne zamāne ho ga.e
palkoñ par ye aañsū pyaar kī tauhīn the
āñkhoñ se gire motī ke daane ho ga.e