Bashir Badr

pyar ki nai dastak dil pe phir sunai di

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
pyaar kī na.ī dastak dil pe phir sunā.ī dī
chāñd sī koī sūrat ḳhvāb meñ dikhā.ī dī
kis ne merī palkoñ pe titliyoñ ke par rakkhe
aaj apnī aahaT bhī der tak sunā.ī dī
ham ġharīb logoñ ke aaj bhī vahī din haiñ
pahle kyā asīrī thī aaj kyā rihā.ī dī
bārishoñ ke chehre par āñsuoñ se likhnā hai
kuchh na koī paḌh paa.e aisī raushnā.ī dī
āsmāñ zamīñ rakh kar donoñ ek muTThī meñ
ik zarā sī laḌkī ne pyaar kī ḳhudā.ī dī
ye tunak-mizājī to ḳhair us kī fitrat meñ hai
varna us ne chāhat bhī ham ko intihā.ī dī
ye tanāv qudrat ne do diloñ meñ kyuuñ rakkhā
mujh ko kaj-kulāhī dī us ko kaj-adā.ī dī
Top Urdushayar.com