chamak rahī hai paroñ meñ uḌaan kī ḳhushbū
bulā rahī hai bahut āsmān kī ḳhushbū
bhaTak rahī hai purānī dulā.iyāñ oḌhe
haveliyoñ meñ mire ḳhāndān kī ḳhushbū
sunā ke koī kahānī hameñ sulātī thī
duāoñ jaisī baḌe pān-dān kī ḳhushbū
dabā thā phuul koī mez-posh ke nīche
garaj rahī thī bahut pechvān kī ḳhushbū
ajab vaqār thā sūkhe sunahre bāloñ meñ
udāsiyoñ kī chamak zard lawn kī ḳhushbū
vo itr-dān sā lahja mire buzurgoñ kā
rachī-basī huī urdu zabān kī ḳhushbū
ġhazal kī shāḳh pe ik phuul khilne vaalā hai
badan se aane lagī za.afrān kī ḳhushbū
imāratoñ kī bulandī pe koī mausam kyā
kahāñ se aa ga.ī kachche makān kī ḳhushbū
guloñ pe likhtī huī lā-ilāha-illallāh
pahāḌiyoñ se utartī azaan kī ḳhushbū