mire dil kī raakh kured mat ise muskurā ke havā na de
ye charāġh phir bhī charāġh hai kahīñ terā haath jalā na de
na.e daur ke na.e ḳhvāb haiñ na.e mausamoñ ke gulāb haiñ
ye mohabbatoñ ke charāġh haiñ inheñ nafratoñ kī havā na de
zarā dekh chāñd kī pattiyoñ ne bikhar bikhar ke tamām shab
tirā naam likkhā hai ret par koī lahr aa ke miTā na de
maiñ udāsiyāñ na sajā sakūñ kabhī jism-o-jāñ ke mazār par
na diye jaleñ mirī aañkh meñ mujhe itnī saḳht sazā na de
mire saath chalne ke shauq meñ baḌī dhuup sar pe uThā.egā
tirā naak naqsha hai mom kā kahīñ ġham kī aag ghulā na de
maiñ ġhazal kī shabnamī aañkh se ye dukhoñ ke phuul chunā karūñ
mirī saltanat mirā fan rahe mujhe tāj-o-taḳht ḳhudā na de