sar se pā tak vo gulāboñ kā shajar lagtā hai
bā-vazū ho ke bhī chhūte hue Dar lagtā hai
maiñ tire saath sitāroñ se guzar saktā huuñ
kitnā āsān mohabbat kā safar lagtā hai
mujh meñ rahtā hai koī dushman-e-jānī merā
ḳhud se tanhā.ī meñ milte hue Dar lagtā hai
but bhī rakkhe haiñ namāzeñ bhī adā hotī haiñ
dil merā dil nahīñ allāh kā ghar lagtā hai
zindagī tū ne mujhe qabr se kam dī hai zamīñ
paañv phailā.ūñ to dīvār meñ sar lagtā hai