Khaleel Husain Balooch

aag aangan mein KHud laga di hai

Khaleel Husain Balooch

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1984
aag āñgan meñ ḳhud lagā dī hai
jis ne insāf kī nidā dī hai
bhaa.ī do baT ga.e zamīnoñ meñ
ghar meñ dīvār ik banā dī hai
tum hī iblīs ke sipāhī ho
tum ne taqsīm ko havā dī hai
ik sadā us ne an-sunī kar dī
bārhā ham ne kab sadā dī hai
raushnī hijr meñ aziyyat thī
jab bhī sham.a jalī bujhā dī hai
jhuuT kī ār-pār lazzat ne
sach kī tāsīr hī bhulā dī hai
dosto kashtiyāñ jalānī thiiñ
tum ne tārīḳh hī jalā dī hai
log sab muntashir na ho jaa.eñ
aaj phir ishq ne sadā dī hai
hārtā kyoñ 'ḳhalīl' maañ ne jab
chuum kar kal jabīñ duā dī hai
Top Urdushayar.com