ham quvvat-e-jazb-e-dil dikhā.eñ
aur phir vo hamāre ghar na aa.eñ
kyā chiir ke sīna-e-dil dikhā.eñ
kuchh haal suno to ham sunā.eñ
ai baḳht kahāñ talak burā.ī
ai charḳh kahāñ talak jafā.eñ
ham sīna-sipar kiye khaḌe haiñ
vo shauq se ḳhanjar āzmā.eñ
jo kaam meñ ġhair ke huiiñ sarf
afsos vo dil-rubā adā.eñ
shāyad ki hai garm-e-nāla 'sāqib'
chaltī haiñ sharar-fishāñ havā.eñ