mirā bātin mujhe har pal na.ī duniyā dikhātā hai
kisī nādīda manzil kā koī rastā dikhātā hai
ḳhudā bhī zindagī detā hai bas ik raat kī ham ko
isī ik raat meñ lekin ḳhudā kyā kyā dikhātā hai
zarā tum des ke is rahnumā ke kaam to dekho
shajar ko kāTtā hai ḳhvāb saa.e kā dikhātā hai
bahut sī ḳhūbiyāñ haiñ aa.ine meñ māntā huuñ maiñ
magar ik aib hai kam-baḳht meñ chehrā dikhātā hai
is āshob-e-zamāna ke liye maiñ kyā kahūñ 'taimūr'
ki har bikhrā huā ḳhud ko yahāñ simTā dikhātā hai