Taimur Hasan

utar lafzon ka ek zaKHira ghazal ko taza KHayal de de

Taimur Hasan

Lahore, Punjab, Pakistan

1974
utaar lafzoñ kā ik zaḳhīra ġhazal ko taaza ḳhayāl de de
ḳhud apnī shohrat pe rashk aa.e suḳhan meñ aisā kamāl de de
sitāre tasḳhīr karne vaalā paḌosiyoñ se bhī be-ḳhabar hai
agar yahī hai urūj-e-ādam to phir hameñ tū zavāl de de
tirī taraf se javāb aa.e na aa.e parvā nahīñ hai is kī
yahī bahut hai ki ham ko yārab tū sirf izn-e-savāl de de
hamārī ā.ankhoñ se ashk Tapkeñ laboñ pe muskān dauḌtī ho
jo ham ne pahle kabhī na paayā tū ab ke aisā malāl de de
kabhī tumhāre qarīb rah kar bhī dūriyoñ ke azaab jheleñ
kabhī kabhī ye tumhārī furqat bhī ham ko lutf-e-visāl de de
Top Urdushayar.com