manziloñ us ko āvāz dete rahe manziloñ jis kī koī ḳhabar bhī na thī
dāman-e-shab meñ koī sitāra na thā sham.a koī sar-e-rahguzar bhī na thī
ik bagūla uThā dasht meñ kho gayā ik kiran thī jo zulmat meñ gum ho ga.ī
zindagī jis ko samjhe the ham zindagī zindagī misl-e-raqs-e-sharar bhī na thī
fasl-e-gul se thā ābād sehn-e-chaman fasl-e-gul jo ga.ī raunaqeñ luT ga.iiñ
yuuñ ḳhamoshī se shām-e-ḳhizāñ aa.egī ahl-e-gulshan ko is kī ḳhabar bhī na thī
is tarah manzil-e-ārzū kaT ga.ī is tarah ye ghanī tīrgī chhaT ga.ī
apne paañv pe yaaro ḳharāsheñ to kyā apne chehre pe gard-e-safar bhī na thī
phir se āñkhoñ ke sāġhar chhalakne lage mauj-dar-mauj aañsū nikalne lage
'tāb' ghar meñ vo mehmān phir aa gayā jis ke aane kī koī ḳhabar bhī na thī