dil ke sahrā meñ baḌe zor kā bādal barsā
itnī shiddat se koī raat mujhe yaad aayā
jis se ik umr rahā da.avā-e-qurbat mujh ko
haa.e us ne na kabhī aañkh uThā kar dekhā
to mirī manzil-e-maqsūd hai lekin nāpaid
maiñ tirī dhun meñ shab-o-roz bhaTakne vaalā
phail jaatā tire hoñToñ pe tabassum kī tarah
kaash hālāt kā pahlū kabhī ho aisā
kitnī shiddat se tire āriz-o-lab yaad aa.e
jab sar-e-shām ufuq par koī taara chamkā
ab ke is taur se aa.ī thī gulistāñ meñ bahār
dāman-e-shāḳh meñ sūkhā huā pattā bhī na thā
dāstāñ ġham kī use 'tāb' sunāte kyuuñ ho
kab rag-e-sañg se ḳhuuñ kā kabhī dhārā niklā