koī bhī naqsh salāmat nahīñ hai chehre kā
badal gayā hai kuchh aisā chalan zamāne kā
maiñ kis liye tujhe ilzām-e-bevafā.ī duuñ
ki maiñ to aap hī patthar huuñ apne raste kā
koī hai rañg koī raushnī koī ḳhushbū
judā judā hai ta.assur har ek lamhe kā
vo tīrgī hai musallat ki āsmānoñ par
surāġh tak nahīñ miltā kisī sitāre kā
ġhazab to ye hai muqābil khaḌā hai vo mere
ki jis se merā ta.alluq hai ḳhuuñ ke rishte kā
tanā huā hai vahāñ aaj ḳhema-e-ḳhurshīd
ugā huā thā jahāñ kal daraḳht saa.e kā
vo jā chukā hai rupahlī rutoñ ke saath magar
bhaḌak rahā hai abhī tak charāġh siine kā
guzar rahe haiñ ye kis pul-e-sirāt se ham log
ki dil meñ 'tāb' gumāñ tak nahīñ hai jiine kā