Tab Aslam

subh-e-bahaar-o-sham-e-KHizan kuchh na kuchh to ho

Tab Aslam

sub.h-e-bahār-o-shām-e-ḳhizāñ kuchh na kuchh to ho
be-nām zindagī kā nishāñ kuchh na kuchh to ho
ḳhāmoshiyoñ kī aag meñ jaltā hai mai-kada
dil-dādgān-e-sho.ala-ruḳhāñ kuchh na kuchh to ho
jiine ke vāste koī sūrat to chāhiye
ho sham-e-anjuman ki dhuāñ kuchh na kuchh to ho
chup chup hai mauj aur kināre udaas haiñ
ai zindagī ke sail-e-ravāñ kuchh na kuchh to ho
sub.h-e-azal kā ruup ki shām-e-abad kā giit
saaya ho dhuup ho ki gumāñ kuchh na kuchh to ho
saaqī na.e charāġh mubārak tujhe magar
jo bujh chuke haiñ un kā bayāñ kuchh na kuchh to ho
koī hasīn giit koī ras-bharī ġhazal
yaaro ilāj-e-ġham-zadgāñ kuchh na kuchh to ho
maanā ki 'tāb' yuuñ bhī guzar jā.egī magar
zikr-e-jamāl-e-gul-badnāñ kuchh na kuchh to ho
Top Urdushayar.com