na gul na sarv miyān-e-bahār hotā hai
hamārī ḳhaak se paidā chīnār hotā hai
kabhī jo jalva-e-ruḳhsār-e-yār hotā hai
charāġh-e-tūr charāġh-e-mazār hotā hai
uThā janāza jo merā qazā lagī kahne
ki jo piyāda hai āḳhir savār hotā hai
milā ke ḳhaak meñ tan ko ga.ī bahisht meñ ruuh
kisī kā kaun zamāne meñ yaar hotā hai
bajā hai taḳht-e-sulaimāñ pe bhī jo maarī laat
har ek murġh yahāñ tājdār hotā hai
na apne ghar meñ mujhe ġhair se milā ai huur
bahisht meñ ye azāb-e-fishār hotā hai
uruuj 'arsh' jo manzūr hai jalā dil ko
ki aag lagtī hai jab sard anaar hotā hai