Meer Kallu Arsh

har gham mein karim hai hamara

Meer Kallu Arsh

Lucknow, Uttar pradesh, India

1783-1867
har ġham meñ karīm hai hamārā
allāh rahīm hai hamārā
kahtā hai rahm khā ke ma.abūd
ye abd yatīm hai hamārā
sehat hai maraz qazā shifā hai
allāh hakīm hai hamārā
tū ḳhush ho ki hai dahān-e-ḳhandāñ
dil ġham se do niim hai hamārā
qismat meñ jo hai vahī milegā
maqsūm qasīm hai hamārā
dil ġhairat-e-gul hai dāġh-e-ġham se
dam rashk-e-shamīm hai hamārā
sābit hai ki dam meñ kuchh kā kuchh hai
nādim jo nadīm hai hamārā
maḳhlūq na samjhe gunāh-e-ḳhāliq
allāh halīm hai hamārā
hādis tere but haiñ sab barahman
allāh qadīm hai hamārā
aadil hai tū irs-e-had meñ kyā kyā
ghar bāġh-e-na.īm hai hamārā
āñkheñ nahīñ par hai shauq-e-dīdār
dil ain-e-kalīm hai hamārā
kyā pesh-e-nazar haiñ shabnam-o-gul
goyā zar-o-sīm hai hamārā
har lahza hai 'arsh' umīd-e-rahmat
allāh rahīm hai hamārā
Top Urdushayar.com