darvesh qaid-e-ġham meñ dil-e-zār ho gayā
āzād ho gayā jo giraftār ho gayā
yūsuf bhī laakh jaañ se ḳharīdār ho gayā
tū ghar meñ ġhul tirā sar-e-bāzār ho gayā
raḳhna tarīq-e-ishq meñ Daalā jo hijr ne
nāsūr dil kā rauzan-e-dīvār ho gayā
qātil ne qatl bhī jo subuk jaan kar kiyā
lāsha ba-rañg-e-rūh subuk-bār ho gayā
uglā jo zahr af.ī-e-gesū-e-yār ne
har mū-e-mār-e-zulf-e-siyah maar ho gayā
soyā haiñ vasl-e-shauq meñ jaagā vo naaz se
maiñ be-ḳhabar huā vo ḳhabar-dār ho gayā
bhāgā gayā na laash pe ġhash khā ke gir paḌā
qātil ye mere ḳhuuñ meñ giraftār ho gayā
ishq-e-sanam gale kā mire haar ho gayā
gardan kā taar rishta-e-zunnār ho gayā
paiġhām-e-vasl hī meñ ḳhafā yaar ho gayā
iqrār ho gayā na kuchh inkār ho gayā
shām-o-sahar chamakne jo dāġh-e-jigar lagā
ḳhurshīd-e-roz-o-sham-e-shab-tār ho gayā
kār-e-rah-e-ḳhudā na huā maut aa ga.ī
ġhaflat se banda dīda-e-bedār ho gayā
qātil jo gul khilāne lagā shāḳh-e-teġh se
maqtal bhī dam meñ taḳhta-e-gulzār ho gayā
khodī jo nahr kohkan-e-jeb-e-chāk ne
sau jā se TukḌe dāman-e-kohsār ho gayā
yād-e-butāñ se ka.aba-e-dil but-kada huā
tār-e-nafas bhī rishta-e-zunnār ho gayā
royā tulū-e-mehr-e-tan-e-ġhaur par jo 'arsh'
āb-e-ravāñ se jāma-e-zartār ho gayā