maut apnī jaan ai dil gardish-e-aflāk ko
Dūbne kā ḳhauf hai girdāb meñ tairāk ko
ḳhud ḳhajil ho jis ko raushan-dil se ho nāhaq ġhubār
muñh pe paḌtī hai jo muñh par pheñkte haiñ ḳhaak ko
mar ga.e par bhī tah-o-bālā rahā apnā ġhubār
shīsha-e-sā.at meñ rakhte haiñ hamārī ḳhaak ko
basta-e-fitrāk hote haiñ hazāroñ bulbuleñ
jaan kar bāb-e-gulistāñ halqa-e-fitrāk ko
kyā ajab gar ustuḳhvāñ raushan hoñ dāġh-e-ishq se
ik sharar shola banātā hai ḳhas-o-ḳhāshāk ko
ḳhuub sā jī khol kar āvāra kar ai ishq-e-yār
ḳhauf-e-rusvā.ī nahīñ aslan dil-e-bebāk ko
hijr meñ piitā huuñ ḳhūn-e-dil mai-e-gulgūñ kī rañg
daur-e-sāġhar jāntā huuñ gardish-e-aflāk ko
kyā nahīñ tāzīr miltī hai gunāh-e-ishq kī
ātish-e-furqat jahannam hai dil-e-ġhamnāk ko
kījiye naale ba-rañg-e-bulbul ai dil gar kabhī
TukḌe TukḌe misl-e-gul kar le terī poshāk ko
rauñd Daalā hai zamīn-e-sher se tā-charḳh-e-fikr
rok le 'arsh' ab inān-e-tausan-e-chālāk ko