Meer Kallu Arsh

main dariya-e-qanaat-ashna hun

Meer Kallu Arsh

Lucknow, Uttar pradesh, India

1783-1867
maiñ dariyā-e-qanā.at-āshnā huuñ
maiñ mauj-e-nishān-e-boriyā huuñ
maiñ āshiq-e-chashm-e-surma-sā huuñ
gar ḳhaak bhī huuñ to tūtiyā huuñ
tiflī hī se vahshat-āshnā huuñ
maiñ us dāman-e-dasht meñ palā huuñ
dekhe jo mujhe jahāñ ko dekhe
maiñ ā.ina-e-jahāñ-numā huuñ
chal sakte nahīñ jo baaġh tak bhī
tā.ūs-sifat adū-e-pā huuñ
dīvāna jo huuñ to huuñ maiñ ḳhāmosh
zanjīr jo huuñ to be-sadā huuñ
tā-gor bhī sifat se na pahuñchūñ
bil-farz agar hazār pā huuñ
sohbat ho bar.ār kis tarah yaar
tū shaah hai aur maiñ gadā huuñ
har sher meñ zulf kī hai tārīf
is bahr meñ mauj-āshnā huuñ
suntā nahīñ ek but mirā haal
fariyādī tujh se ai ḳhudā huuñ
kahtī hai zabān-e-hāl se maut
maiñ dard-e-firāq kī davā huuñ
kahtī hai ye ruuh tan se har-dam
tū ḳhaak jo ho to maiñ davā huuñ
ye tausan-e-umr garm-raftār
kahtā hai maiñ ab charāġh-pā huuñ
ai 'arsh' ziyārat ab karūñgā
maiñ rah-rav-e-dasht-e-karbalā huuñ
Top Urdushayar.com