Meer Kallu Arsh

kaun aaega jo tu be-sar-o-saman hoga

Meer Kallu Arsh

Lucknow, Uttar pradesh, India

1783-1867
kaun aa.egā jo tū be-sar-o-sāmāñ hogā
varna hogā tū na andesha-e-darbāñ hogā
qatl ke ba.ad bhī ik aish kā sāmāñ hogā
mai-e-gul-rañg lahū zaḳhm namak-dāñ hogā
bāñkpan bas ki hai manzūr mire qātil ko
gul-e-dastār bhī ab ġhuncha-e-paikāñ hogā
ik nazar dekh sakegā na tirī chashm-e-siyāh
sabza-e-ḳhat bhī charāgāh-e-ġhazālāñ hogā
tū vahāñ bhī jo na ho yaar to phir hai andher
roz-e-mahshar pe gumān-e-shab-e-hijrāñ hogā
dilbaro dil ke na le jaane meñ isrār karo
tum ko kyā fā.eda hogā mirā nuqsāñ hogā
jaate haiñ sabr o qarār o ḳhirad o hosh o havās
jaras-e-qāfila apnā dil-e-nālāñ hogā
mere iisā se mire dard kā darmāñ hogā
sharbat-e-vasl ilāj-e-tap-e-hijrāñ hogā
vaa.iz ham ko tū na hañgāma-e-mahshar se Darā
apne nazdīk vo ik majma-e-yārāñ hogā
aa.ina dīda-e-hairāñ tujhe dikhlā.egā
shāna-e-zulf mirā hāl-e-pareshāñ hogā
dil-e-be-ishq se kaunain meñ tū hogā ḳharāb
barhaman dair meñ ka.abe meñ musalmāñ hogā
gar ye haiñ dast-e-junūñ aur vo haiñ ḳhār-e-junūñ
na to dāman hī rahegā na garebāñ hogā
shāḳh-e-gul hai qalam-e-fikr to ash.ār haiñ gul
'arsh' dīvān mirā rashk-e-gulistāñ hogā
Top Urdushayar.com