Meer Kallu Arsh

tan se jaan ka qadam nikalta hai

Meer Kallu Arsh

Lucknow, Uttar pradesh, India

1783-1867
tan se jaañ kā qadam nikaltā hai
ab koī dam meñ dam nikaltā hai
sair kar inqilāb-e-ālam kī
Thekrā le ke jam nikaltā hai
ai parī shab jo huur ko dekhā
terā andāz kam nikaltā hai
ḳhalq martī hai kū-e-qātil meñ
taur-e-mulk-e-adam nikaltā hai
chhoḌ but-ḳhāne ko tire hāthoñ
barhaman ai sanam nikaltā hai
kūcha-e-zulf se tire ai but
bach ke shaiḳh-e-haram nikaltā hai
saaf ai huur tere kūche meñ
rañg-e-bāġh-e-iram nikaltā hai
jān-e-jāñ tujh pe jaan jaatī hai
dam nikaltā hai dam nikaltā hai
teġh-e-qātil hai 'arsh' zahr-ālūd
mere zaḳhmoñ se sam nikaltā hai
Top Urdushayar.com