Meer Kallu Arsh

humse karta hai abas guftar kaj

Meer Kallu Arsh

Lucknow, Uttar pradesh, India

1783-1867
ham se kartā hai abas guftār kaj
rāst-bāzoñ se na ho ai yaar kaj
ishq-e-abrū se tirī ai kaj-kulāh
bāñdhtā hai māh-e-nau dastār kaj
hai tavāzo bhī buzurgī kā nishāñ
kyuuñ na ho piirī meñ jism-e-zār kaj
kaj-ravī is zulf kā hai ḳhāssa
jis tarah hai maar kī raftār kaj
haat yuuñ qātil-jabīnoñ kā lagā
jis tarah pahne sanam zunnār kaj
rāstī ik baat meñ us kī nahīñ
kaj ravā kaj-maj zabāñ guftār kaj
qasr-e-tan piirī meñ jhuk kar kyā ruke
gir paḌe kohna jo ho dīvār kaj
jā-e-nazzāra hai phirte haiñ hasīñ
Topiyāñ rakh kar sar-e-bāzār kaj
kaj-numā ā.īna-e-ālam hai 'arsh'
be-sabab TeḌhe abas haiñ yaar kaj
Top Urdushayar.com