Meer Kallu Arsh

KHun bahane ka bahana hai bhala mere baad

Meer Kallu Arsh

Lucknow, Uttar pradesh, India

1783-1867
ḳhuuñ bahāne kā bahāna hai bhalā mere ba.ad
tiin din paan bhī khānā na zarā mere ba.ad
fātiha paḌh ke vo rone jo lagā mere ba.ad
shor-e-mahshar mire madfan pe uThā mere ba.ad
dil-e-ahbāb na madfan pe jalā misl-e-charāġh
phir ga.ī aisī zamāne kī havā mere ba.ad
qabr ko takiya-e-āġhosh banā kar baiThā
mere qātil kā kahīñ dil na lagā mere ba.ad
kārvāñ meñ pas-o-pesh ek hai manzil sab kī
ho ga.ī rehlat-e-har-shāh-o-gadā mere ba.ad
TukḌe hogā mere ġham meñ sar-e-sāġhar saaqī
kaaT Dālegī surāhī bhī galā mere ba.ad
na rahā bulbul o parvāna ko ishq-e-gul-o-sham.a
naam ko bhī koī āshiq na rahā mere ba.ad
us sā māshūq jahāñ meñ koī mujh sā āshiq
'arsh' aage na huā thā na huā mere ba.ad
Top Urdushayar.com