khulegā nāḳhun-e-shamshīr se uqda mire dil kā
kisī qātil se hai āsān honā merī mushkil kā
pas-e-murdan bhī ye manzūr hai nazzāra qātil kā
charāġh-e-gor meñ aalam huā hai chashm-e-bismil kā
ġhubār-e-dahr se ik lahza bhī ḳhālī nahīñ hotā
ilāhī shīsha-e-sā.at hai kyā shīsha mire dil kā
yahī gar zindagī bhar tab-e-ālī kā rahā aalam
banegā mar ga.e par āsmāñ dasvāñ mire gil kā
na toḌe rishta-e-dām aur apnā yaar dam toḌe
hai behtar is bhaḌakne se taḌapnā tā.ir-e-dil kā
jahāñ meñ kāmiloñ ko qadr hai ham ḳhāksāroñ kī
shikast-e-dil-gadā ko TūTnā hai sāġhar-e-gul kā
ajab hai rū-e-jānāñ par na honā ek bhī til kā
adam kartā nahīñ tāroñ ko jalva māh-e-kāmil kā
qayāmat lā.egā gulzār meñ naala anādil kā
jagānā fitna-e-ḳhvābīda hai sayyād-e-ġhāfil kā
maiñ majnūñ dekhte hī mar gayā is rashk-e-lailā ko
kafan ke vāste goyā phaTā thā parda mahmil kā
kiyā labrez-e-marvārīd chashm-e-gauhar afshāñ se
gumāñ guzrā jo dariyā par mujhe dāmān-e-sāhil kā
mirā ḳhvāb-ul-azīz o ġhairat-e-ḳhvāb-e-zuleḳhā hai
tasavvur raat bhar thā mujh ko ik yūsuf-shamā.il kā
maiñ aisā nā-tavāñ huuñ sar uThānā mujh ko mushkil ho
barā-e-tauq gardan chāhiye chhallā anāmil kā
kafan misl-e-katāñ hai TukḌe TukḌe 'arsh' madfan meñ
tasavvur mar ga.e par bhī hai ye us māh-e-kāmil kā