Meer Kallu Arsh

be-qararon ko kab qarar aaya

Meer Kallu Arsh

Lucknow, Uttar pradesh, India

1783-1867
be-qarāroñ ko kab qarār aayā
maut bhī aa.ī par na yaar aayā
jab huā jism ḳhaak yaar aayā
gard uTThī to shahsavār aayā
luT gayā kārvān-e-sabr-o-qarār
qāsid-e-ashk ashk-bār aayā
ḳhas se jaise charāġh jaltā hai
daaġh ke kaam jism-e-zār aayā
gar koī ḳhāksār ḳhaak huā
ḳhaak uḌāne mirā ġhubār aayā
kāsa-e-charḳh vāzhgūñ hī rahā
jā ke mujh sā na bāda-ḳhvār aayā
zulf se sair rū-e-rañgīñ kī
daam meñ mausam-e-bahār aayā
loTiye misl-e-māhī-e-be-āb
ki sar-e-teġh-e-ābdār aayā
us ne sau baar haal pūchhā 'arsh'
shikva lab par na ek baar aayā
Top Urdushayar.com