Meer Kallu Arsh

shohrat hai meri suKHan-wari ki

Meer Kallu Arsh

Lucknow, Uttar pradesh, India

1783-1867
shohrat hai merī suḳhan-varī kī
hindī meñ hai tarz fārsī kī
kyuuñ zikr-e-visāl se ḳhafā ho
ye baat to hai hañsī-ḳhushī kī
allāh re nazākat-e-lab-e-yār
but-ḳhāne paḌe jo mai-kashī kī
shikva na karūñ maiñ tā-lab-e-gor
dushman bhī kahe ki dostī kī
ho dīda-e-mehr shabnam-afshāñ
hālat jo dikhā.ūñ be-kasī kī
jab maut kisī tarah na aa.e
ghabrā kar ham ne āshiqī kī
ḳhāmosh ho sham.a rote rote
taqrīr karūñ jo ḳhāmushī kī
ai maut azaab se chhuḌāyā
is qaid se tū ne muḳhlisī kī
bulbul ko kiyā asīr-e-gul-dām
sayyād ne ḳhuub munsifī kī
dekhā jo vo rashk-e-māh-e-kan.āñ
rañgat huī zar-dastarī kī
pahuñche na ba-rañg-e-shāna tā zulf
kyā baḳht-e-siyah ne kotāhī kī
dozaḳh kī tarah jaleñ na zāhid
jannat meñ bhī ham ne mai-kashī kī
naale kiye chupke chupke ro.e
kyā kyā ġham yaar kī ḳhushī kī
ġhūloñ ne lahad pe huuñ vo vahshī
āñkhoñ se aa ke raushnī kī
ai 'arsh' ḳhudā-o-but ahad haiñ
mushrik ko samā.ī hai duī kī
Top Urdushayar.com