na junūñ jā.egā kabhī merā
yaar hai ġhairat-e-parī merā
dil na le ai sanam barā-e-ḳhudā
kuchh bahaltā hai is se jī merā
us kā hairān huuñ jo kahtā hai
dekh le muñh na aarsī merā
ab nahīñ dil ko taab furqat kī
dam nikaltā hai ai parī merā
lazzat-e-qatl kyā kahūñ qātil
chāTtī hai lahū chhurī merā
jān-e-jāñ zikr kar na jaane kā
dam nikal jā.egā abhī merā
ġhuncha-e-gul to hañs ke kahtā hai
muñh chiḌhāne lagī kalī merā
ab kī furqat meñ gar rahā jiitā
dekhiyegā na muñh kabhī merā
be-nishāñ hoñ misāl anqā kī
naam ai 'arsh' to sahī merā