sun ke furqat chup huā aisā ki murdā ho gayā
pūchhtā hai yaar ro ro kar tujhe kyā ho gayā
dekh kar chashm-e-siyāh-e-māh-rū vahshat huī
chāñdnī meñ us hiran kā rañg kaalā ho gayā
kar diyā abrū ne do TukḌe ba-rañg-e-zulfiqār
ek hī talvār meñ saarī kā aadhā ho gayā
kyā diyā bosa lab-e-shīrīñ kā ho kar tursh-rū
muñh huā mīThā to kyā dil apnā khaTTā ho gayā
muñh jo us yūsuf ne pherā ho ga.e be-kār sab
dīda-e-yāqūb chāh-e-ā.ina andhā ho gayā
dil jo taḌpā daaġh se raushan jahān-e-dil huā
barq jab chamkī añdhere meñ ujālā ho gayā
'arsh' us kī sard-mehrī tā-dam-e-āḳhir rahī
dil huā ThanDā na saarā jism ThanDā ho gayā