Meer Kallu Arsh

shab-e-hijran mein dam nikalta hai

Meer Kallu Arsh

Lucknow, Uttar pradesh, India

1783-1867
shab-e-hijrāñ meñ dam nikaltā hai
kab payām-e-visāl Taltā hai
dil-e-bīmār se hai tañg masīh
daaġh se āftāb jaltā hai
be-zarī se huuñ pā.emāl-e-butāñ
zor kis kā ḳhudā se chaltā hai
dil na le ai sanam barā.e-ḳhudā
is se kuchh jī mirā bahaltā hai
ātish-e-ishq zulf-e-pechāñ hai
haDDiyoñ se dhuāñ nikaltā hai
tere hañsne pe maiñ jo rotā huuñ
abr mānind-e-barq jaltā hai
tujh se ai ashk māh-e-furqat ho
rañg kyā kyā falak badaltā hai
apne bīmār ko na pūchh masīh
ab koī dam meñ dam nikaltā hai
daaġh kā jism-e-zār se hai faroġh
ḳhas se jaise charāġh jaltā hai
sard yā arsh pā-e-qātil par
laash par vo bhī haath maltā hai
Top Urdushayar.com