Taimur Hasan

wafa ka zikr chhiDa tha ki raat bit gai

Taimur Hasan

Lahore, Punjab, Pakistan

1974
vafā kā zikr chhiḌā thā ki raat biit ga.ī
abhī to rañg jamā thā ki raat biit ga.ī
mirī taraf chalī aatī hai niiñd ḳhvāb liye
abhī ye muzhda sunā thā ki raat biit ga.ī
maiñ raat ziist kā qissa sunāne baiTh gayā
abhī shurūa kiyā thā ki raat biit ga.ī
yahāñ to chāroñ taraf ab talak añdherā hai
kisī ne mujh se kahā thā ki raat biit ga.ī
ye kyā tilism ye pal bhar meñ raat aa bhī ga.ī
abhī to maiñ ne sunā thā ki raat biit ga.ī
shab aaj kī vo mire naam karne vaalā hai
ye inkishāf huā thā ki raat biit ga.ī
naved-e-sub.h jo sab ko sunātā phirtā thā
vo mujh se pūchh rahā thā ki raat biit ga.ī
uThe the haath duā ke liye ki raat kaTe
duā meñ aisā bhī kyā thā ki raat biit ga.ī
ḳhushī zarūr thī 'taimūr' din nikalne kī
magar ye ġham bhī sivā thā ki raat biit ga.ī
Top Urdushayar.com