Meer Kallu Arsh

mausam-e-gul mein nahin izzat-o-shan-e-waiz

Meer Kallu Arsh

Lucknow, Uttar pradesh, India

1783-1867
mausam-e-gul meñ nahīñ izzat-o-shān-e-vā.iz
kaun is fasl meñ suntā hai bayān-e-vā.iz
duḳhtar-e-raz kī mazammat kā irāda to kare
khīñch luñgā abhī guddī se zabān-e-vā.iz
aaj rindān-e-qadah-nosh ko achchhī sūjhī
mai-kashī ke liye taakā hai makān-e-vā.iz
mausam-e-gul meñ jo suntā hūñ'' to maiñ kahtā huuñ
hai sadā-e-sag-e-dīvāna bayān-e-vā.iz
ġhūl-e-sahrā-e-sharī.at use batlā deñge
ham se pūchhe to koī nām-o-nishān-e-vā.iz
daur rindoñ kā hai chaltī hai shab-o-roz sharāb
ahd-e-qāzī hai na baaqī na zabān-e-vā.iz
qatl kar Dāliye har-dam ye ḳhayāl aatā hai
josh khātā hai lahū sun ke bayān-e-vā.iz
kabk kī tarah ye loTe abhī añgāroñ par
bhTiyāñ mai kī jo hoñ zahr-e-makān-e-vā.iz
shukr hai mausam-e-gul kā asar itnā to huā
mai-kada ab nazar aatā hai makān-e-vā.iz
badle dumbe ke kareñ riñd usī ko qurbān
īd-e-qurbāñ meñ jo sun paa.eñ bayān-e-vā.iz
'arsh' is fasl-e-junūñ meñ mire saude kī tarah
aur baḌh jaa.e ilāhī ḳhafaqān-e-vā.iz
Top Urdushayar.com