thā najm-e-baḳht-tīra muqābil tamām raat
āñkhoñ tale phirā mire qātil tamām raat
hārūt saañ zaqan meñ rahā dil tamām raat
guzrī miyāna-e-chah-e-bābil tamām raat
kis gul ne gul kiyā thā mirī sham-e-gor ko
thā qabr par hujūm-e-anādil tamām raat
dhabba lage na rañg-e-safed-o-siyāh meñ
hai go tamām din ke muqābil tamām raat
raushan thī sub.h tak mire madfan pe sham-e-tūr
royā khaḌe khaḌe mirā qātil tamām raat
ai rashk-e-mehr-o-mah tire muñh par nisār hai
sūraj tamām din mah-e-kāmil tamām raat
jaatī thī yaad gesū o ruḳh meñ falak pe aah
mahtāb thā asīr-e-salāsil tamām raat
karte haiñ gul jo chaak garebāñ tamām din
sunte haiñ nāla-hā-e-anādil tamām raat
kahtā thā 'arsh' sach meñ samajhtā thā jhuuT yaar
kartā rahā hai haq ko vo bātil tamām raat