Meer Kallu Arsh

dil aaina hai jauhar-e-aks ru hai

Meer Kallu Arsh

Lucknow, Uttar pradesh, India

1783-1867
dil aa.ina hai jauhar-e-aks rū hai
yuuñ hī tujh se maiñ huuñ yuuñ hī mujh meñ tū hai
agar gul hai tū jān-e-bulbul bhī tū hai
tū har rañg meñ rañg tū har bū meñ bū hai
mirī ḳhaak ashk-e-nadāmat se tar hai
tayammum bhī kariye to hukm-e-vuzū hai
bajā lan-tarānī hai ḳhāmosh haiñ ham
jo uTh jaa.e parda to phir guftugū hai
tirī zulf-e-purḳham kā dīvāna huuñ maiñ
na zanjīr-e-pā hai na tauq-e-gulū hai
tasavvur meñ abrū ke jo mar gayā huuñ
pas-e-marg ka.aba mire rū-ba-rū hai
garebān-e-sad-chāk hai dāman-e-gul
na paivand kī jā na kār-e-rafū hai
tire muñh ko dekhūñ tire saath so.uuñ
ye hī hasrat-e-dil ye hī aarzū hai
maiñ daurān-e-sar se jo sar phoḌtā huuñ
na mai hai na saaqī na jām-e-subū hai
chhurī kyā hai talvār bhī maar qātil
qabā-e-badan ko bhī shauq-e-rafū hai
nahātā hai ġhairoñ ke hamrāh qātil
mire āb-e-shamshīr hī tā-gulū hai
tire jalve se hai dil-e-'arsh' raushan
jo vo sub.h-e-sādiq to ḳhurshīd tū hai
Top Urdushayar.com