Meer Kallu Arsh

nazar kisi ko wo mu-e-kamar nahin aata

Meer Kallu Arsh

Lucknow, Uttar pradesh, India

1783-1867
nazar kisī ko vo mū-e-kamar nahīñ aatā
ba-rañg-e-tār-e-nazar hai nazar nahīñ aatā
zamāna-e-ġham-e-furqat basar nahīñ aatā
ajal bhī aatī nahīñ yaar agar nahīñ aatā
hamesha huuñ bhī maiñ rotā ba-rañg-e-shabnam-o-abr
galī se kaun tire chashm-tar nahīñ aatā
ye hai nigāh se dar-parda teġh-zan qātil
ki iltiyām ye zaḳhm-e-jigar nahīñ aatā
ġham-e-firāq meñ mar mar ke roz jiitā huuñ
vo kaun shab hai jo muñh tak jigar nahīñ aatā
faqat na naam se chaltā hai kaam duniyā meñ
ki zer-e-sikka kabhī gul kā zar nahīñ aatā
vo laḌ ke milte nahīñ mil ke ham pakaḌte nahīñ
vo sulh karte nahīñ ham ko shar nahīñ aatā
firāq-e-zulf meñ roz uTh ke shab ko rotā huuñ
ki sar se gesū-e-shab tā-kamar nahīñ aatā
vo shāh-e-husn ḳhafā ho.e 'arsh' kahtā hai
girā jo paañv par kyuuñ us kā sar nahīñ aatā
Top Urdushayar.com