hai mirā tār-e-nafas tār-e-qafas
rishte barpā hoñ giraftār-e-qafas
murġh-e-dil ko zab.h ai sayyād kar
aur taa.ir haiñ sazāvār-e-qafas
shauq bulbul ko asīrī kā jo ho
ho zar-e-gul se ḳharīdār-e-qafas
kyuuñ na maiñ rañgīñ-bayāñ huuñ qaid-e-rañj
murġh-e-ḳhush-ḳhvāñ hai sazāvār-e-qafas
zindagī se qaid meñ bhī huuñ subuk
gaah bār-e-dām gah bār-e-qafas
mujh sā bulbul qaid ho kar chhūT jaa.e
so ga.e kyā baḳht-e-bedār-e-qafas
chashm-e-ālam meñ asīr-e-dām hai
ruuh hai tan meñ sazāvār-e-qafas
phāñd kar aayā thā dīvār-e-chaman
phāñd jā.ūñ kyuuñ ki dīvār-e-qafas
kyā hai dāġh-e-ḳhūn-e-bulbul kī bahār
dekh ai sayyād gulzār-e-qafas
kab kisī bulbul ko miltā hai gulāb
ḳhūn-e-dil piitā hai bīmār-e-qafas
zab.h karne ko utārā naḳhl se
sar mirā thā pā-e-raftār-e-qafas
pūchhtā hai kyā dil-e-bulbul kā haal
dekh zālim jism-afgār-e-qafas
ashk ko hai dām-e-gesū kī talāsh
tifl hotā hai ḳharīdār-e-qafas
tā-ba-kai hogā asīr-e-dām-e-fikr
'arsh' kar mauqūf ash.ār-e-qafas