Meer Kallu Arsh

asar aisa hai tap-e-gham mein dawa ka ulTa

Meer Kallu Arsh

Lucknow, Uttar pradesh, India

1783-1867
asar aisā hai tap-e-ġham meñ davā kā ulTā
nabz dekhe to ho bīmār masīhā ulTā
ham-sarī kī qad-e-mauzūñ o ruḳh-e-raushan se
chor kī tarah diyā sham.a ko laTkā ulTā
sub.h ko chehra-e-ḳhurshīd kiran se niklā
sar se us mah ne jo maq.īs kā sehrā ulTā
ḳhafaqān-e-ġham-e-furqat se dil aisā ulTā
muñh ke bāhar nikal aayā jo kaleja ulTā
hasrat-e-dīd meñ āḳhir ko dam apnā ulTā
parda-e-chashm na us shoḳh ne apnā ulTā
naaz o andāz ne dīvāna banāyā dil ko
us parī ne jo dam-e-raqs dupaTTā ulTā
maiñ to kartā nahīñ ai 'arsh' gila furqat kā
shikva-e-baḳhT vo kaj-bāz hai kartā ulTā
Top Urdushayar.com