gar ho na ḳhafā to kah duuñ jī kī
is dam tumheñ yaad hai kisī kī
jo sāmne ho kahe usī kī
muñh dekhī hai baat aarsī kī
phūloñ kā kabhī na haar pahnā
baddhī jo paḌī tirī chhaḌī kī
gul-gīr ne kaaT kar sar-e-sham.a
parvāne se shab kaTī jalī kī
tasbīh meñ bhī ho tār-e-zunnār
ḳhātir na shikasta kar kisī kī
aayā shab-e-mah meñ vo jo tā-farsh
chādar huī gard chāñdnī kī
sayyād kabhī tū zab.h kar Daal
muḌ jā.egī baaḌ kyā chhurī kī
ā.īna barq meñ hai lāzim
tasvīr khīñche tirī hañsī kī
tartīb-e-kuhan kī vaz.a ai 'arsh'
ham ne dīvān meñ na.ī kī