Meer Kallu Arsh

mujhko masnad pe qalamdan baKHsha

Meer Kallu Arsh

Lucknow, Uttar pradesh, India

1783-1867
mujh ko masnad pe qalamdāñ baḳhshā
sher-e-qālīñ ko niyastāñ baḳhshā
pīr-e-kan.āñ ko diyā dāġh-e-firāq
ek zan ko mah-e-kan.āñ baḳhshā
maraz-e-ishq meñ maut aatī hai
tū ne har dard ko darmāñ baḳhshā
qābil-e-dīd hai husn-e-hikmat
huur ko rauza-e-rizvāñ baḳhshā
qatra bhī vus.at-e-rahmat se hai bahr
chashm ko nuuh kā tūfāñ baḳhshā
dil-e-nālāñ ko diye dāġh-e-firāq
ek bulbul ko gulistāñ baḳhshā
dil-e-be-rahm diyā zālim ko
jis tarah tiir ko paikāñ baḳhshā
gul ko pur-zar jo garebāñ baḳhshā
ḳhaar ko dasht kā dāmāñ baḳhshā
rahm aayā jo gunahgāroñ par
gunah-e-gabr-o-musalmāñ baḳhshā
aa gayā kuchh jo karīmī kā ḳhayāl
huur ko mulk-e-sulaimāñ baḳhshā
terī tadbīr hai ain-e-taqdīr
maut ko ālam-e-imkāñ baḳhshā
surḳh-rū ahl-e-karam ko rakkhā
bahr ko panja-e-marjāñ baḳhshā
lab kī jā bosa-e-ruḳhsār diyā
evaz-e-la.al badaḳhshāñ baḳhshā
mus.haf-e-ruḳh kā jo dekhā koī sher
rūh-e-'hāfiz' ko bhī qur.āñ baḳhshā
us se huuñ tālib-e-īmāñ ai 'arsh'
jis ne kāfir ko bhī īmāñ baḳhshā
Top Urdushayar.com