motī nahīñ huuñ ret kā zarra to maiñ bhī huuñ
dariyā tire vajūd kā hissa to maiñ bhī huuñ
ai qahqahe bikherne vaale tū ḳhush bhī hai
hañsne kī baat chhoḌ ki hañstā to maiñ bhī huuñ
mujh meñ aur us meñ sirf muqaddar kā farq hai
varna vo shaḳhs jitnā hai utnā to maiñ bhī huuñ
us kī tū soch duniyā meñ jis kā koī nahīñ
tū kis liye udaas hai terā to maiñ bhī huuñ
ik ek kar ke Dūbte taare bujhā ga.e
mujh ko bhī Dūbnā hai sitāra to maiñ bhī huuñ
ik aa.ine meñ dekh ke aayā hai ye ḳhayāl
maiñ kyuuñ na us se kah duuñ ki tujh sā to maiñ bhī huuñ