terī nigāh-e-nāz jo nāvak-asar na ho
taklīf-e-chāra-sāzī-e-zaḳhm-e-jigar na ho
mujh se bhī kuchh sivā hai unheñ merī aarzū
ye shauq vo nahīñ jo udhar ho idhar na ho
maiñ aur mujh ko va.ada-e-dīdār kī umiid
vo chāhtā huuñ aaj ki jo umr bhar na ho
ai barq-e-husn-e-yār zarā chashm-e-iltifāt
yuuñ jal bujhūñ ki mujh ko bhī merī ḳhabar na ho
ka.abe meñ hai nishāñ na kahīñ dair meñ pata
terī galī meñ 'muztar'-e-āshufta-sar na ho